Sar Dard Ka Rohani Ilaj Qurani Ayat Se | Headache Pain Relief With Quran Ayah

Sar ka dard aik aisy preshan kun bemari hai jo aap ka na sirf sukoon kharab karti hai balky agar
aap musalsal sar dard ka shikar hain to ye aap ko lagh bhag kisi kaam ka nai chorti.

Sar Dard ka rohani ilaj samajhny se pahly ye jaan lain k Qurani ayat se kisi bhi bemari ka ilaj mumkin hai.
Buzrgan-e-deen or mazhabi peshwaon ne kari mehnat, tajrby, or khud per azma kar aisy kai
wazaif jama kiye hain jo mukhtalif beemariyo me bahtreen rohani ilaj ka kam dety hain. Is article
me ham Sar dard ky rohani ilaj ky mutaliq wazaif, duain, or rohani ilaj dekhain gy.

Rohani Ilaj ka Quran o Hadees se Saboot


Rohani Ilaj Quran o Hadees se sabit shuda tarika e ilaj hai. Allah tala ne Quran -e- Majeed Me
farmaya hai:

(82)وَ نُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْاٰنِ مَا هُوَ شِفَآءٌ وَّ رَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِیْنَۙ-وَ لَا یَزِیْدُ الظّٰلِمِیْنَ اِلَّا خَسَارًا۔

Aor Ham ne Quran me aisi chezain utari hain jin me Emaan walo k liye shifa aor rahmat hai aor
is Quran se zalimo ko khasara hi mily ga.


Is ayat Mubaraka se sabit hota hai k Quran ko Roohani ilaj k tor pe istemal karsakty hain balky
aisi dheer sari ahadees se bhi suboot milta hai k aap (S.A.W) ne kai mareezo ka rohani ilaj kia
maslan:

Jab aap (S.A.W) per ek yahoodi ne jado kardiya aor aap is ky asar se bemaar hogay thy to us
waqat Jibrail ameen utry aor unhony aap (S.A.W) ko us yahoodi k jado karny ki itla di or ye bhi
bataya k jado ka amal jis cheez per kiya gaya hai wo fala koain(well) me hai. App (S.A.W) k liye
us cheez ko koain se nikala gaya.

Jab us dhagy numa chez ko nikala gaya to us me giyara 11
girahain thi. Is jaado k tor k liye Allah Tala ne do soortain nazil kain sora Falak or Sora Nas in
dono soorton me giyaran ayatain hain. Aap (S.A.W) her ayat parhty jaty or gira kholty jaty yahan
tak ky sb girhon ko aap ne khol diya yuon aap (S.A.W) ne mehsoos kiya k aap se ek khas qism
ka bhoj utar gaya.
Isi tara Hazrat Ayesha (R.A.) ko koi bhi bemari pesh ati to aap (S.A.W) ye do soortain un per
dam karty they. Isi tara aap (S.A.W) ka farman alishan hai k Moavazatain (Qul howalla, Qul
Aozo bi rabbinnas aor Qul aozo bir Rabbil Falak) jo bhi subah sham parhy ga usy koi takleef
nai phunchy gi. (Tirmizi, Abu Dawood, Mazhari)

Sar Dard Ka Rohani Ilaj


Rohani ilaj ki afadyat or ahmiat k bad hamain ye bat achi tara maloom hogai hai k roohani ilaj na
sirf mumkin balky bahut ziada faida mand bhi hain bahut sary marzo k sath sar dard ka rohani
ilaj bhi mufeed hai. Aap darj zeel wazaif, duaon or qurani ayaat k zariye sar ky dard ka shafi
roohani ilaj karsakty hain:

Sar dard Ka rohani ilaj


Agar sar me mustaqil dard ray ya ziada der tak rahy or preshan kun ho to kasrat ky sath
astaghfar or drood shareef parhain or ye dua lazman parhain:


بِسْمِ اللّٰہِ الْکَبِیْرِ، نَعُوْذُ بِاللّٰہِ الْعَظِیْمِ مِنْ شَرِّ عِرْقٍ نَّعَّارٍ وَمِنْ شَرِّ حَرِّ النَّارِ (کتاب الأذکار للنواوي، کتاب أذکار المرض والموت وما یتعلق بھما، باب ما یقولہ من بہ صداع أو حمی أو غیرھما من الأوجاع، ص ۱۱۶)


Note karain is dua ko parhny ka koi khas waqt or parhy jany k liye khas adad zarori nai bas isy
kasrat se parhty rahain.


لَّا یُصَدَّعُوۡنَ عَنْہَا وَلَا یُنۡزِفُوۡنَ ﴿ۙ۱۹﴾ 


Is ayat kareema ko awal o akhir darood sharif parh k sar dard waly ky sar per dam karain to sar
dard jata rahy ga.


قُلْ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ(۱)‏ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ (۲)‏لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ(۳) ‏وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ (۴)


Sora e ikhlas me bhi sar dard se nijat ka ilaj azmoda hai. Isy bawuzo hokar sar dard ky khatmy
ki niyat se parh kar dua mangy to inshallah hamesha k liye sar dard khatam ho jaiga.

سورۃ الناس : قُل اعُوذُ برب الناس۔۔۔۔۔۔ الخ آخر تک


Is sorat ko awal o akhir drood sharif k bad sat martaba parhain to sar dard jata rahy ga.

سورۃ الم نشرح:الم نشرح لک صدرک۔۔۔۔۔۔ الخ آخر تک


Sora alam nashrah ko agar saat bar parh kar pani pe dam karain or wo pani peain to sar dard
jata rahy ga.

سورۃ کوثر : انا اعطینٰک الکوثر ۔۔۔۔۔۔ الخ آخر تک


Baaz buzrgaan-e-deen k nazdeek surah kosar parhny ki bhi afadiat sabit hai. Is sorat ko saat
martaba parh kar sar per dam karain to sar dard jata rahy ga. Inshallah.

Best Time to Recite Surah Waqiah 2023

Also Read Dua For Evil Eye Protection
Note:
Wazaif, azkar, or qurani ayaat k zariye roohani ilaj ko mumkin banany k liye aap ka khuda k
kalaam per kamil emaan, yaqeen or kamil bharosa hona zarori hai jesa k oper mazkor ayat k
tarjumy me ham ne para k:
Aor Ham ne Quran me aisi chezain utari hain jin me Emaan walo k liye shifa aor rahmat hai aor
is Quran se zalimo ko khasara hi mily ga.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *